Sunday, June 19, 2011

Pyar nahin de paunga !!!-----> One of the Best !!

O kalp-vraksh ki son-juhi
O amal-tas ki amar kali
Dharti ke aatap se jalte
Man par chaayi nirmal badli
Main tumko madhu-sad-gandh yukt, sansaar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf priye main pyar nahi de paunga !!

Tum kalp-vraksh ka fool aur
Main dharti ka adna gayak
Tum jeewan ke upbhog yogya
Main nahi adhuri gazal shubhey
Tum saam-gaan si pawan ho
Himshikharon par sehsa kaundha
Bijuri si tum man bhawan ho
Isliye vyarth shabdo wala, vyapar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf priye main pyar nahi de paunga !!

Tum jis shaiya par shayan karo
Veh sheer sindh si pawan ho
Jis aangan ki ho maul-shree
Veh aangan kya vrandawan ho
Jin adhron ka chumban pao
Veh adhar nahin ganga tat ho
Jiski chaya ban saath raho
Veh vyakti nahin vanshi-vat ho
Par main vat jaisa saghan chaaon ,vistaar nahin de paunga !
Tum mujhko karna maaf main pyar nahi de paunga !!

Main tumko chand sitaron ka
Saupun uphar bhala kaise
Main yayavar banjara sadhu
sur-sansar bhala kaise
Main jeewan ke prashno se nata
Tod, tumhare saath shubhe !
Barudi bichi dharti par kar loon
Do pal pyar bhala kaise
Isliye vivash har aanson ko, satkaar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf tumhe main pyar nahi de paunga !!



By Dr. Kumar Vishwas

No comments:

Post a Comment