mai peeda ka raj kunvar hun, tum shahjadi roopnagar ki,
ho bhi gaya prem ham me to bolo, milan kahan par hoga.
mera kurta sila dukhon ne,
badnami ne kaj nikale,
tum jo anchal odhe usme
ambar ne khud jade sitare.
mai keval pani hi pani, tum keval madira hi madira,
mit bhi gaya bhed tan ka to, man ka havan kahan par hoga.
mai janma isliye ki
thodi umra ansuon ki badh jae.
tum aai is hetu ki menhdi,
roj nae kangan banavae,
tum udayachal, mai astachal, tum sukhant ki mai dukhanta ki,
mil bhi gae ank apne to ras avataran kahan par hoga.
meelon jahan na pata khushi ka,
mai us angan ka iklauta,
tum us ghar ki kali jahan,
nit honth kare geeton ka nyauta,
meri umar amavas kali aur tumhari poonam gori,
mil bhi gai rashi apni to bolo lagan kahan par hoga
itna dani nahi samay ki,
har gamale me phool khila de,
itni bhavuk nahi jindagi,
har khat ka uttar bhijva de,
milna apna saral nahi par, phir bhi yah socha karta hun,
jab na adami pyar karega, jane bhuvan kahan par hoga
ho bhi gaya prem ham me to bolo, milan kahan par hoga.
No comments:
Post a Comment